Ali Zafar Shares A Heartfelt Poem And We Cannot Agree With Him More
Kuch tau ghalat horaha hai
Kya insaan khuwabe ghaflat mein soraha hai
Guftugu mein dhuaan
Jalan seenon mein
Beej nafrat ke kon bo raha hai
Kuch tau ghalat horaha hai
Muflis ko thikana nahi
Ghareeb ka ashiyana naheen
Raeed dukhra apna ro raha hai
Kuch tau ghalat horaha hai
Baithay hein sab kisi maujizay ki taak mein
Jeetay hein apne liye bas apne aap mein
Jao honay do jo horaha hai
Haan, kuch tau ghalat horaha hai
Chalo ao dekhein kab tak chalega yeh sab
Kuch na rahega baaqi hum jag utheingay tab
Sunaegey phir yeh dastaan
Aur sunnay wala na koi
Marham-e-khak ke aghosh khuwaab bunnay wala na goi
Phir deingay sada tak sadayein
Mangein hein gir gira kar duaen
Ke jaga de humein uss khuwab-e-ghaflat se
Jahan kuch tau ghalat horaha hai
Kuch tau ghalat horaha hai
Thoughts?